Saturday, September 09, 2006

Aisa kyun hota hai . . .

1) Jab bhi baat karne ka mann hota hai to saamne wala busy hota hai?
2) Jab bhi surprise call karne ka mann hota hai to number busy hota hai?
3) Jab bhi kahin jaane ka mann hota hai to traffic jam ya roadways strike hota hai?
4) Jab bhi koi fruit khane ka mann hota hai to wo out of season hota hai ?
5) Jab bhi koi nayi movie dekhne ka mann hota hai to sade se sada theatre bhi housefull hota hai?

Uff . . . aakhir aisa hota hai to kyun hota hai?

3 comments:

Fames said...

nice one...khud likha hai ya kisi aur ki kapi apnay blog par chipkae hai aapnay[:)]

Bhavna said...

@ Faheem:

Agar apko lagta hai ki maine kahin aur ki copy chipakyee hai to mujhe source bata dijiye ... tab aapki baat ka dum pata chale ... jahan tak meri baat hai to mujhe kisi ko copy paste karne ka shauk nahin hai aur zaroorat bhi nahin hai. I have full confidence on me and my thoughts. Afterall its my blog right.

AB said...

Hi! Bhavna well I would like to say something ki aisa kyon hota hai ki jab jo chaho woh humse juda hota hai ya fir gumshuda hota hai...
"Agar mil jayey rahein to manzil asaan hoti hai par safar mein kuch khaas nahi hota hai, agar pata ho kismat to khuda pe yakeen nahi hota hai, agar chaho woh mil jayey yun hi to usko paaney ka ehsaas kam hota hai... har cheez ki ek keemat hoti hai jo ya pehley do ya paaney ke baad aur phir hum sochtey hein ki ye aisa kyoun hota hai...

Sawaal bhi kuch bhaut zaruri hein warna zavaab ki koi keemat na hogi na tum poochtey ki yun kyoun hota hai na hum boltey ki yun hota hai!

Alankrita