Kuch Khayalaat, Kuch Baatein
Teen saal pure hue, ab hua chautha shru,
kya likhun, kya na likhun,
hua ab ye dwand shru.
Sochun aur dekhun agar,
peeche mud ke,
kitna kuch hai paaya aur,
kitna kuch kho gaya kahin.
Paane ki baat aayi to
keh sakte hain mila bahut,
kuch pyaare dost, kuch meethi yaadien,
jo raheingi hamesha dil mein
banke zinda saugatien.
Kitna kuch hai janne ko,
kitna kuch hai samajhne ko,
ye bhi to ek baat hai,
jo hai sikhlayi mere ko.
Ye jagah shayad ek raasta hai,
manzil nahin.
Aane ke liye sangharsh,
aur aagey jaane ke liye bhi,
Teen saal pure hue, ab hua chautha shru,
kya likhun, kya na likhun,
hua ab ye dwand shru.
Sochun aur dekhun agar,
peeche mud ke,
kitna kuch hai paaya aur,
kitna kuch kho gaya kahin.
Paane ki baat aayi to
keh sakte hain mila bahut,
kuch pyaare dost, kuch meethi yaadien,
jo raheingi hamesha dil mein
banke zinda saugatien.
Kitna kuch hai janne ko,
kitna kuch hai samajhne ko,
ye bhi to ek baat hai,
jo hai sikhlayi mere ko.
Ye jagah shayad ek raasta hai,
manzil nahin.
Aane ke liye sangharsh,
aur aagey jaane ke liye bhi,
Kya jaane kya hoga, kya milega.
Ab to sirf intezaar hai is raaste ke us mod ka
jahan se shru hoga ek safar naya.
Khona, shayad ye bhi ek pehlu hai
zindagi ka.
Jis tarah pani ki boond kho jaati hai
bade vishal samudra mein,
dheeme dheeme nahin, palak jhapkte hi.
Hamare rishtey bhi to kuch aise hi hote hain.
Pani ki boond jaise, hawa ke jhonke jaise.
Peeche mud agar dekhu main teen saal ka
nirantar safar, bahut kuch hai,
jiske khone ki tees aaj bhi hai kahin.
Ginti shru karu to afsos hoga,
aankhon se aansoo bhi aayeinge,
isliye nahin ki kho gaya,
isliye kyunki kuch aisa to mila.
Aaj ek umeed hai, aarzoo bhi,
Kash koi aisa jaadu kare,
jisse mil jaayien mujhe wo meethe pal
jinki yaad mujhe aaj bhi aati hai.
Raat raat bhar ki baatein, wo chai ke liye mehfilien,
din bhar ki kisse baaji, chillana, shor machana.
Kash aisa ho jaaye ki laut aayein wo pal.
Mujhe maloom hai na-mumkin ye,
lekin phir bhi ahsaas hai ek.
Ye ahsaas, mujhe pehle to nahin hua,
itni muddat se logon ka saath raha,
Phir kyun ban gaye kuch chehre khaas?
Wo chehre jinka tha pal bhar ka saath.
Sawaal bahut hain, jawab kum,
Shayad yehi hai is safar ka aakhri dum,
Aakhir teen saal jo pure hue.
2 comments:
:)
ye jagah shayad ek raasta hai
manzil nahin...
isliye raaste me kuch khona hai, kuch paana hai, aur kuch khatti meethi yaadein liye aage badte jaana hai :)
your lines gave real n true feelings of loved ones n the ppl whom we admire most,
also reminds golden old mints of past
your pair a made me in tears...so nice..!!
Post a Comment